NEWSLINKS US EDITION SOUTH ASIA COLUMNISTS DIARY SPECIALS INTERVIEWS CAPITAL BUZZ REDIFF POLL DEAR REDIFF THE STATES ELECTIONS ARCHIVES US ARCHIVES SEARCH REDIFF
Jake Khan in Mumbai
Skeletons are tumbling out of Bollywood's closet once again.
A special court in Mumbai on Thursday heard an audiocassette which the prosecution claimed contained a telephonic conversation between Pakistan-based gangster Chhota Shakeel and four film personalities -- actor Sanjay Dutt, director-actor Mahesh Manjrekar, producer Harish Sugandh and director Sanjay Gupta.
The cassette was played before designated judge A P Bhangale, who is hearing a case against film financier Bharat Shah, producer Nasim Rizvi, his assistant Abdul Rahim Allah Baksh and Dubai-based hawala operator Mohammed Shamshuddin. The four have been accused of using slush funds to finance films.
Rediff.com has acquired the transcript of the taped conversation. Here is a part of it:
Chhota Shakeel:Salaam, salaam bhaiya kya haal hain? Sanjay Dutt: Nashik me baitha hu main. CS: Ha ha ha, achcha hain. SD: Ji. CS: Kya shooting chal rahi hain? SD: Nahi Shirdi gaya. Baba ke paas jaa raha hoon. CS: Achcha achcha achcha. first-class. SD: Ji. CS: Aur kya hal hain? SD: First-class bhai. Aap kaise hain? CS: Bas maje me. Aur kya chal raha hain? CS: Mein bola bahot din huye baat nahin hui. SD: Bhai vo chip aanewala tha. CS: Haan haan. SD: Woh kal aa raha hain abhi. CS: Achcha, achcha, achcha. SD: Ji. CS: Kya main bhejoon. SD: Ji. CS: Main bhej doon kya. SD: Aap bhej do Bhai. please. CS: Aa. SD: Ji. CS: Woh edharwali bheju. Dubaiwali. SD: Ha, bhej do na Bhai. CS: Achcha, chalo mein Dubaiwali bhej deta hoon. SD: Ji. CS: Aur kya haal hain. SD: First-class Bhai. CS: Aur kya chaal raha hai sab. shooting-beeting sab first-class. SD: Bas first-class Bhai. CS: Hmm. hmm. hmm.>br> SD: Kaise hain aap Bhai? CS: Haa haa ekdam maje mein...tum log sunao kya chal raha hain. SD: Bas chal raha hain. CS: Hmm, hmm, hmm, kaun kaun hain? Akele ho ya bhabhi vageira hain. SD: Nahin nahin, sab dost log hi hain. Harish hain yahan pe. CS: Achcha Harish bhi sath mein hain. SD: Haan. CS: Haan, haan, achcha, achcha. SD: Ek minute. baat karo ek minute. (Sanjay hands over phone to Harish Sugandh)
Harish Sugandh: Hello. CS: Hello. HS: Salaam valekum. CS: Salaam, salaam...kya haal hai Harish. Phone hi bandh kar diya yaar. Kya baat hain? HS: Phone bandh nahin. woh tap hota hain naa. CS: Achcha, achcha, achcha. HS: Woh pata hain naa, mein leke bhi gaya tha usko ek din. CS: Achcha, achcha, achcha. HS: Haan haan, abhi Nasik mein hoon. CS: Woh kidhar hain Afzal? HS: Afzal abhi ghar pe hain naa. CS: Achcha. HS: Woh Bombay mein hain naa. uski shooting. CS: Usko bolna. Message dena mereko phone kare. HS: Usko parso se ek shooting hain naa. CS: Achcha, phir bhi bolna mereko phone kare. Raat ko message chhod dena usko. HS: Abhi chhod deta hoon. CS: Abhi chhod dena. Bolna ho sake to kal phone pe baat kare. HS: Chhodta hoon. CS: Thik hain. HS: OK. CS: Haa dena usko.
HS: Ji bhai.
(Harish once again hands over the phone to Sanjay)
CS: Hmm, hmm. kya yeh kaisi gayi. SD: Kaunsi? CS: Nahin Lagi parso. SD: Achchi gayi na Bhai. CS: Achchi gayi naa. SD: Bahut achchi. CS: Chalo mubarak mubarak. SD: Ji Bhai. CS: Director lucky hain. SD: Haa, Bhai ek minute ek minute baat karo bhai.
(Sanjay hands over phone to Harish)
HS: Hello. CS: Hello. HS: Bhai, Harish bol raha hoon. CS: Haan haan. HS: Achcha mera mobile number likh lena abhi. CS: Ek minute haa. ek minute. HS: Haan. CS: Khali haan ya naan mein jawab dena. Woh seedha ho gaya kya? Abhi hain saath mein? HS: Kaun? Nahin nahin woh to haich. Woh bechara uska tension ho gaya dono ka wapis. CS: Haan wohin pooch raha hoon. HS: Bahut bada tension huela hai. CS: (giggles). HS: Aur limit ke bahar. CS: Achcha. HS: Haa Sanju batayega dekhna. abhibhi uska phone ayega edhar. CS: Haa number do. HS: 9821328945. Khali kabhi kabhi aise na... CS: Nahin nahin agar aisa hain na ki Suresh bolunga na to samajh jana. HS: Haan haan. CS: Samjhe naa. HS: Haan samaj gaya. CS: Waise mere number pe kahi se phone kar lena mereko. HS: Haa karloonga main bas. CS: Waise to main karooga nahin kabhi. HS: Nahin nahin. CS: Kabhi kaam hoga to hi. HS: Hanji hanji. CS: Tension mat lena. HS: Nahin. CS: Ke main tum logo ko harassment kar raha hoon. HS: Zindagi mein nahin. Mujhe maloom hain bhai. CS: Hum log dusro ki tarah nahin hain yaar. HS: Nahin nahin mujhe maloom hain. CS: Samajh gaye na. HS: Ha mujhe maloom hain sab. CS: Chalo kabhi koi baat hogi. HS: Haa. CS: Jara Isme. Wohi yehin baat hogi. HS: Ha wohi wohi. Agar tumko mere bare mein koi kuch bole to mereko phone kar dena. CS: Are yaar ek baat suno. HS: Haan haan. CS: Jab ek bar hum log kisise relation rakhte hain na. HS: Haji haji. CS: To uski das baate aati hain na to bhi hum log usko forget karte hain. HS: Bas bas, thank you Bhai. CS: Aur humko logon ko darane ka ya hairan karne ka shauk nahin hain bhaiya. HS: Maloom hai Bhai. CS: Hmm hmm. Achcha yeh Devdas kiski hain tumhare bhai ki hain? HS: Nahin nahin, humne chhod diya. Humne pehle se hi chhod di hui hain. kya hua? CS: Hmm hmm. Mujhe khali haan ya na mein jawab dena. Usme Saleem ka involvement hain? HS: Kiska? CS: Saleem ka. HS: Uska apna Bharatbhai ka hai. Bharatbhai Shah ka. CS: Nahin nahin...Saleem ke saath mein ya Bharat bhai ka saath mein hain? HS: Bharatbhai ke saath mein hain. CS: Saleem nahin hain usme? HS: Nahin nahin Bharatbhai 100 per cent hain. CS: Nahin mereko usse kuch lena dena nahin, khali iske bare mein puchna tha. Saleem ka involvement to nahin hain na usme! HS: Nahin Bharatbhai ka hain. Kyon ki woh (Saleem) overseas maang raha tha to usse mereko maloom padaa. CS: Achcha. HS: Aur mereko Sanjay yeh log. Woh apna kaun hai Sanjay Leela Bhansali... Usko to out hi kar diya na hum logo ne. CS: Achcha, achcha, achcha, mein yeh suna tha Bhansali ke saath saath Saleem ka bhi involvement hain. Woh picture mein. Aisa kuch hain... HS: Nahin Sanjay Leela to usko janta bhi nahin hoga. CS: Achcha. achcha. HS: Total Bharatbhai present hain. Unka set lagaa hain. Shooting bhi chal rahi hain na. CS: Achcha, achcha, achcha. Nahin khali yeh inquiry karni thi. HS: Bhai phirbhi kuch hoyega to batayega. CS: Thik hain waisa apne tak hi rakhna. HS: Haan haan confirm 100 percent. CS: Hmm. HS: Hoyega to main do-teen din mein try karega na sab. CS: Thik hain. HS: Inquiry karke. CS: Thik hain. HS: Aur usse baat hui ki nahin? CS: Kisse? HS: Woh motay se. CS: Nahin usse nahin. Khali issi se. Usse mein mere dhang se karoonga naa. HS: Theek hain, theek hain. CS: Woh to main field kharab kar doonga. Fikar nahin karo. HS: Ok, ok, ok. CS: Aur mera gussa jo hota hai. Woh slow poison hota hain. HS: Achcha, achcha, achcha. CS: Ekdam nahin. Jo shehad se marta hain usko zehar nahin dena yaar. (Harish laughs). CS: Samajh gaye ke nahin. HS: Haa samajh gaya. CS: Bas mein mere dhang se karoonga. Tum logo ka tension door karo. Tum log bas dua karo. Tum log thodi help karo to industry se yeh gandagi hat jayegi. HS: Are bas mazaa aa jayega. Yeh gandagi khatam ho jayegi na to bahut mazaa ayega. CS: Ho jayegi, ho jayegi. HS: Wo zyada hi gandagi ho gayi na. CS: Ho jayega bhaiya wo kya hai. dekho ek baat suno. HS: Hmm hmm. CS: Tum logo ki wajeh se hi yeh hua hai yeh. HS: Haa maloom hain. CS: Haa yeh bhai wo bhai...are wo aa gaya. Chalo thik hai paanch nahin das deta hoon. Do nahin paanch deta hoon. Nahin samjhe. HS: Haa samaj gaya bhai. CS: Usme yeh ho jata. Ek link ban jati hain. Woh ho jata hain na. HS: Haa correct, correct bol rahein hain aap. CS: Ek trend ho jata hain. HS: Yeh agar saaf ho jata hain na mazaa aa jayega life mein. CS: Mein bata raha hoon na. Ho jayega. HS: Industry itne satyanash hui hai. CS: Haan haan. HS: Abhi hui hain recently. Bahut hi huan hain. CS: Achcha, achcha. HS: Pehle kabhi nahin tha. CS: Haan recent. Mujhe bahut khabar aa rahi hain ek mahine se. HS: Haan haan. CS: Yeh phone, woh phone, yeh sign karde, woh sign karde. HS: Haa, haa, warna kabhi nahin tha. CS: Haan, haan, haan. HS: Kisiko pata bhi nahin chalta tha. CS: Haan Haan. Nahin nahin ho jayega ho jayega. HS: Hum apke paas hi hain. Aap jo karenge aap hi kar sakte hain. CS: Nahin nahin...sab thik ho jayega fikar nahin karo. HS: Haan. CS: Gandagi saaf ho jayegi. HS: Haa ekdum. CS: Samjhe naa. HS: Jo bhi hum aapke saath hi hain. CS: Haan. HS: Ha aap kabhi bhi boliye. CS: Haan. HS: Jo bhi hain. Aap hi humko madat kar sakte hain. Bahut problem ho rahi hain. CS: Nahin sab problem door ho jayegi. HS: Thank you, Bhai. CS: Fikar nahin karo. Khali dua karo sab thik ho jayega. Ek baat yad rakhna. dekho zalim jyada din nahin chalta. Uski hawa badi garam hoti hai. HS: Hmm hmm. CS: Lekin woh kus mein nikal jati hain na. HS: Hmm. CS: Wo pata nahin chalta hain. HS: Nahin wo to hain hi. CS: Aisa Zalim hota hai. Abhi yeh dekho isne khali deekhane ke liye Deepak ke bhai ne. Bulake begunah khud ke aadmi ko maar diya. HS: Haan, haan. CS: Wo to tumhare paas bhi report ayi hogi. HS: Gadbad hain na, paper mein aya na sab. CS: Kya? HS: Paper mein aya na jo. Usne kuch khabar di thi aisa kuch. CS: Aare nahin yaar nahin. HS: Nahin sab jhoot hain. CS: Actually market se unko extortion money nahin mil rahi hai. HS: Achcha, achcha, achcha. CS: Abhi kya karen. Abhi ek baat batao...bada kaam karne ki jarurat. bada kaam kya. wo to ek bichara barwala tha aur ek driver tha. HS: Haa haa usko. CS: Unnecessary begunahon ko. HS: Begunahon ko to bahut. CS: Rang late hain na. HS: Hmm, hmm. CS: Dekhna kaisa rang layega. HS: Nahin nahin begunahon ko to bahut galat kiya. CS: Bola na Zalim ki hawa garam rahetin hain. HS: Haa barabar. CS: Lekin thandi kab ho pad jati kisiko maloom bhi nahin padta. HS: Barabar. CS: Haaa uski fikar nahin karo. HS: Haa ek minute, haa, Sanjay ko deta hoon...aur baki khairiyat naa. CS: Bas first-class. HS: Khuda hafiz haan. CS: Haan.
(HS gives phone to Sanjay)
SD: Ji Bhai. CS: Haa aur... . SD: Bas first-class Bhai. . CS: Aur apni kabhi shuru hogi. SD: Ji. CS: Apni kabhi shuru hogi. SD: December mein. CS: Achcha, achcha. SD: Ji ji bhai. CS: Ek minute haan. (speaks on another phone) CS: Achcha, yeh number 253 wala number diye tha. SD: Ji. Haa bheja tha aapke paas. CS: Achcha, achcha. SD: Yaha ka hi hain bhai. CS: Achcha, achcha. Abhi is number pe ho. SD: Ji. Aur Bhai. CS: Bas thik hai bhaiya aur sunao. SD: Bas first-class hai. Aapke do fan baithe hai yahan pe. unse baat kar lo. CS: Kaun hain. SD: Sanjay Gupta hain ek. Aur ek Mahesh Manjrekar. Ek minute baat kar lijiye.
(Gives phone to Sanjay Gupta)
CS: Haan. Sanjay Gupta: Hello. CS: Hello. SG: Abhi jaa rahe hain Shirdi. CS: Achcha, achcha. SG: Haan ji. Baki mehnat kar rahe hain. Film bana rahe hain. CS: Hmm, Hmm. Thodi mehnat karo yaar, banate hoon tum achchi lekin thoda gadbad kar jate ho. SG: Hmm, hmm. Abhi pura full concentration ke bad kar raha hoon. CS: Nahin, vaise continuity ho na. SG: Ji. CS: Beech mein jo scene cut ho jate hain na. SG: Haanji, haanji. CS: Usme thoda mixing mein dhyan rakho. SG: Ji haan, karoonga bhai. CS: Vaise continuity teri achchi hoti hain. SG: Haan ji. CS: Aur lete ho script bada achcha. SG: Ji ji, abhi nayi wali mein kaam kar rahan hoon. Sanju ke saath hi. Amitji bhi hain. CS: Achcha, achcha. SG: Bahut achcha iska kaam chal raha hain. CS: Kaun hai. Matlab naam kya hai. SG: Picture ka naam? Kaante. CS: Yeh to Bobby ki hain na. SG: Ha. Nahin nahin, yeh to meri film hain. CS: Isme to Bobby ka involvement hain meine sunaa. SG: Nahin uska 33 per cent hai khali profit mein. CS: Profit mein? SG: Ha matlab profit aur loss mein vaise 33 per cent partner hai. Naam ka hain woh. CS: Kyon rakha hai, Saleem ke wajeh se? SG: Nahin, nahin. CS: Phir 33 per cent usko kis baat ka dena hain? SG: Nahin pehle to mein akela tha. Mereko to kuch pata bhi nahin tha kisika yeh mil gaya mereko. Merko isne sign kiya tha. Maine isko bola tha ki main apni company shuru kar raha hoon. To usne bola mein tumko help karta hoon financially. To usme mein apna 33 per cent rakhoonga. Abhi to maine woh bhi out karwa diya kyonki abhi Bharatbhai kar rahe hain sab. CS: Achcha, achcha. SG: Aur usme produce aur direction mera hi hain. CS: Achcha... uska involvement nahin hai na. SG: Nahin, nahin. bilkool nahin abhi to Bharatbhai ne pehle wohi condition rakha. CS: Haan, haan. SG: Haan ji. CS: Koibhi cheez ki. Koi bhi baat ki zaroorat ho to batana. SG: Ji zaroor Bhai, main aapke pass hoon. CS: Number iske passse le lena, koi bhi tension kisika bhi koi tension. Koi baat ho to baitha hoon mein. SG: Ji Bhai, thank you very much. CS: Phone kar lena, fikar nahin karna. SG: Main to bas Baba ke through aapke paas hi aoonga. SG: Nahin nahin fikar nahin karna... dekho ek baat suno, hum logo ko tum logo ko hairan karke koi matlab nahin banta yaar. SG: Ji Bhai. CS: Samaj mein aya ki nahin. SG: Ha ji ha ji. CS: Hum log tum logo se koi madat nahin mangte...s irf yeh bolte hain ke kisi jagah pe koi co-operate kar lena. SG: 100 per cent Bhai. CS: Baki to yaar dekho humko to samajh mein ata hain ke tum businessman log ho. SG: Ji. CS: Tumko hairan kar diya. Tumko karke kya milega. SG: Nahin nahin... CS: Humko to usko darane ko mazaa aati hai jo humare liye challenge banta hai. SG: Are baap re. CS: Samaj mein aya ki nahin. SG: Ji ji ji. CS: Hum log normal logo pe haat nahin dalte yaar. SG: Haan ji. CS: Aur kuch bhi hoga to Harish ko bol dena nahin to baba ko bol dena. SG: Ha Sethji hain. Baba hai bilkul Bhai. CS: Kabhi bhi aadhi raat ko... SG: Ha ji jaroor. CS: Jara isko dena. SG: Haa ek minute.
(Gives phone to Sanjay) SD: Ji Bhai. CS: Aur. SD: First-class Bhai. CS: To woh picture achchi gayee Manjrekar ki? SD: Achchi gayee. CS: Achcha, achcha, very good, very good. SD: Usse baat karo na bhai. Ek minute, ek minute.
(gives phone to Mahesh Manjrekar)
MM: Salaam walekum. Mahesh bol raha hoon. CS: Ha ha kya haal hai? MM: Bas first-class. CS: Hmm, hmm, achchi picture banate ho. Dekha hai. Yeh parso release hui abhi tak dekha nahin. Time nahin mil raha hain. MM: Kurukshetra. CS: Haa haa. MM: Mereko ko aur ek film banani hain. Mereko Sanjay ne bola tha aapki story ke upar ek film banani hain. CS: Achcha, achcha, achcha. Jald hi fursat mein baat karenge is mamle par. MM: 100 per cent, mereko sacchi mangta hain story. CS: Ha ha bilkul bilkul mein de doonga, do char sequence de doonga. MM: Kyon ki meine abhi tak sab realistic picturey banayi hai. Vaastav bhi Kurukshetra bhi aur Astitva bhi. Ek film banani hai sacchi. CS: Ha banyenge saath mein banayenge. No problem. Kaam tayyar karo. MM: Ha. CS: Pura cooperate karoonga. MM: 100 per cent. Mereko khali ek story de do, mein phir uska screenplay banaoonga, phir aapko sunaunga. CS: Nahin kis tarah ki story chahiye. MM: Haa apki life-story banani hai mereko. CS: Achcha. MM: Phir agar aap batayenge na to mein usko screen pe batoonga. Apko sunaunga pehle. Agar aap bolenge banao to banayenge. CS: Theek hain theek hain. MM: Haan 100 per cent banana chahta hoon. CS: Haan, haan, haan, aur kya haal hain. MM: Bas first-class sir. CS: Koi bhi baat ho koi zaroori kaam ho to bol dena. MM: 100 per cent Bhai. CS: Haan to kabhi bhi aadhi raat ko bhi mein haazir hoon aap logo ke liye. Fikar nahin karna. MM: 100 per cent Bhai. CS: Haa dena usko. MM: Ek minute haan.
(gives phone to Sanjay)
SD: Ji Bhai. CS: Afzal saath mein nahin. Kya baat hai? SD: Afzal ki shooting hai bhai. CS: Achcha kal se. SD: Parso se. CS: Parso se. Achcha. SD: To meine usko bola tu aja to bolta hai nahin aoonga. CS: Achcha. SD: Meine bola ek secret hain bhai. Mein apko bataoonga ek din. CS: Achcha, achcha. l*****, l***** kisi ladki ke saath. SD: SK... CS: Kiske saath? SD: SK (both laugh) . CS: Tauba yaar. SD: Kasam khuda ki bhai kasam khuda ki. CS: Usko bolne ka bakre ka gosht khane ki zaroorat hi kya hai. bakri ki milti hai. SD: Bhai agar baat hogi to wo mujhe pachaso gali dega. CS: Achcha. CS: Kuch chahiye yahan se? SD: Nahin Bhai. Bhai jo aapne bheja hain na, woh kamaal. CS: Achcha. SD: Ji Bhai. CS: Nahin aur rahega na to main bhej doonga fikar nahin karna. SD: Bhai aapne jo Afzal ko bheja hain na, vaise ek bhejo na mereko yaar. CS: Kaunsa wala? SD: Kamaal ka bheja hain.brown wala ek. CS: Achcha. SD: Brown chowkdi wala. CS: Brown chowkdi wala achcha, woh crocodile ka hain woh. SD: Nahin crocodile nahin hain yaar. CS: Phir? SD: Plain hain poora. CS: Brown chowkdi wala, chalo theek hain, haan main samajh gaya. SD: Ji. CS: Haan main samajh gaya, samajh gaya. SD: Ji. CS: Rust colour hain. SD: Ji. CS: Thoda rust colour hain. SD: Haan Bhai, haan ji ji ji. CS: Nahin to main khud hi gaya tha lene. SD: Achcha Bhai. CS: Haan khud hi lekar aaya tha. SD: Achcha, achcha. CS: Mere liye bhi lena tha. SD: Ji. CS: Ek aapne le liya tum logon ke liye. Unke bhi pade huye hain abhi kya naam hai uska. SD: Kaun? CS: Nahin nahin nahin. SD: Ji. CS: Aditya Panscholi. SD: Achcha. CS: AP. SD: Achcha Bhai, woh Govinda bahut bada c***** hain Bhai. CS: Haan maloom hai mereko. SD: Ji. CS: Abhi isne Dubai kiya tha na? SD: Achcha achcha achcha. CS: Haan to mereko permission liya tha, bole yaar main kar raha hoon Bhai. SD: Ji. CS: Koi mereko ungli nahin kare, main bola chal achcha kar le, koi karega nahin, kuch hoyega to mera naam le lena. SD: Achcha, achcha. CS: To shaayad kiya hoga pata nahin kya hain. SD: Ji Bhai. CS: Apun poochna nahin chahte yaar, aadmi apna khaata hain kamaata hain, koi kya poochenge. SD: Sahi baat hai. CS: Sabki apni woh hai. SD: Ji. CS: Aur kya chal raha hain? SD: Aur first-class Bhai. CS: Yaar yeh to bada khushi hui ho Missionwalise. SD: Achcha laga aapko. CS: Woh Chikne ki maar diya hain ekdam first-class. SD: Bachcha hain na Bhai. CS: Woh bachcha hi raha na. SD: Bilkul Bhai. CS: Haan haan haan, nahin bahut mashallah bada achcha kiya. SD: Bhai main T-shirt liya hoon aapke liye. CS: Achcha, achcha. SD: Woh Aaap hi bolta hain kya aap T-shirt pehenke nikalte haan achcha lagta hain. CS: Haan, main jyadatar T-shirt pehenta hoon. SD: Haan to main leke aaya hoon. CS: Haan haan. SD: Kahan pe doon? CS: Appi ko de dena. Appi ko main bol doonga kahan dena hain. SD: Theek hain Bhai. CS: Samjhe na. Aur sab theek hain na. SD: Ekdam first-class Bhai. CS: Haan haan, ek minute chalu rakhna (talks to someone)...hello. SD: Ji Bhai. CS: Haan haan, aur kya haal hai. SD: First-class Bhai. CS: Woh Chikna to nahin mila tha na. SD: Nahin bilkul nahin. CS: Acchha achcha. SD: Main boss ko bola bhi tha London mein. CS: Haan haan. SD: Milta hi nahin woh. CS: In log, in log ke saamne nahin bolo. Hmm hmm yeh Mission to baith gayi na?. SD: Kahan baith gayi Bhai. CS: Chali? SD: Arre Harish se poocho Bhai. Ek minute haan.
(Harish Sugandh comes on the line)
HS: Hello. CS: Hello. HS: Haan Bhai. CS: Mission ka kya report hain? HS: Suno, Mission ki to business to bahut extra mili hain. CS: Achcha. HS: Haan ekdum first-class. CS: Hmm hmm hmm. HS: Ek do chhote chhote centre pe kharaab hain. CS: Hmm hmm hmm. HS: Baaki to Bombay mein to extra mile usi to. CS: Haan haan haan woh Chikna grade dekha thoda. HS: Kiska? CS: Woh kya naam hain uska... Hrithik. HS: Haan haan uska to hain. CS: Haan haan. HS: Lekin, lekin yeh Sanju bahut top ho gaya hain na. CS: Haan haan, usne to ismein jaan daal di hain. HS: Ismein aur woh usmein dono mein. CS: Haan haan, woh dekha nahin main, dekhoonga abtak na. HS: Kurukshetra dekhe aap? . CS: Nahin dekha nahin, hmm dekhoonga ab. HS: Usmein Sanjay ko dekho khaali. CS: Achcha achcha. HS: Haan haan, extra aur theatre mein unko dekha naa clapping har dialogue par haan. CS: Hmm hmm. HS: Samjho Vaastav jaisa hi hain. CS: Achcha achcha. HS: Haan haan. CS: Hmm hmm, usko bolna woh to Manjrekar bhangi ka thodi tha, woh to shot hum logon ka tha. HS: (Laughs) . CS: Aap logon ne hi dikhaya tha naa. Woh to bill phaad diya tha uske naam pe. HS: Nahin nahin, woh bolta aap ke upar bahut bolta, ek pakka picture mein aapka phone uthane ke pehle hi woh decide kar raha tha, maine bola abhi mat kar, abhi thoda garam hain, thoda thanda hone de maamla. CS: Hum log sequence dete hain, Bangkok vali bolna. HS: Haan haan. Wohi haan main bola, poora sequence tujhe milne wala hain. CS: (Both laugh) Dena dena usko thoda Manjarekar ko. HS: Haan ek minute.
(Mahesh Manjarekar comes on the line)
MM: Haan haan Bhai. CS: Woh Panvel wala shot tha na woh. MM: Haan. CS: Woh paanch murder ka bataaya jo tum logon ne. MM: Haan. CS: Woh jo ek saat murder hoye the na. MM: Haan. CS: Woh van ke ander. MM: Haan. CS: Woh to hum logon ki hi sequence thi na. MM: Maloom hain na, maloom hai, maloom hai Bhai. CS: Hmm hmm Bangkok wala doonga na. MM: Main bola bhi unko. CS: Jaisa programme banaya hai. MM: Main sequence bataaya inko. CS: Achcha. MM: Haan maine pehele hi bataaya tha sequence to. CS: Hmm hmm, aisa terrific hai ke main samjha ke yaad karenge log. MM: Haan. CS: Samjhe na, jo planning hai na. MM: Nahin main bataaya tha abhi Sanju ko ataaya tha, bola tu abhi chup baith. Abhi mat bola abhi nahin kabhi to karoonga lekin. CS: Arre jaldi karenge. Tu fikar mat kar. MM: 100 per cent karta hoon. CS: Samjhe na. MM: 100 per cent karta hoon. CS: Haan haan, 2-4 aisa jabardast doonga na sequence jaan aa jayegi. MM: Ek minute Sanjay bataayega usko bataaya hain main sequence.
(Sanjay comes on line)
SD: Bhai. CS: Haan. SD: Yeh dar raha hain, ek minute baat karo.
(Sanjay gives phone to Mahesh Manjrekar)
MM: Dekho maine bataaya tha, beginning huyi hai. CS: Achcha. MM: Ki something August... mereko date yaad nahin hai 2000 Thailand mein. CS: Haan haan. MM: - Phir dissolve hota hai, - ka. CS: Haan haan. MM: Gaadi nikalti hain udhar jaati hai. CS: Hmm hmm. MM: Ghar mein aati hain. CS: Hmm hmm. MM: Aur darvaze andar ek jan bolta hain, arre kidhar tha bahut late ho gya, to bolta hain nahin nahin, traffic bahut thi. CS: Achcha achcha. MM: To khaana khayenge? Uski wife poochti hai. CS: Hmm hmm. MM: To phir nahin nahin yaar, bahut garmi hain mein peeoonga beer, khulti vaise hi sab phone chaalu hote hain, satellite yeh woh bolte, le daal B****** se, le daal matlab mila me woh aur certain ki do teen gaadiya aaj hi udhar. CS: Hmm hmm. MM: To mereko actually true story aapse mangti hai. CS: Arre, true story jo hain na perfect main de doonga kis tarah hum log aage gaye. MM: Haan. CS: Kya planning kiya aur kitne time se planning ki. MM: Haan. CS: Aur kaisa upar gaye kaisa capture kiya total. MM: Hmm. CS: Samjhe na? MM: Mereko maangta hai kyonki ekdam realistic level pe karne ka. CS: Nahin nahin, woh real vaak dikhayega to main samajhta hoon, uthega nahin koi. MM: Haan. CS: Ke aisi bhi planning hoti hain na. MM: Baraabar hai. CS: Samjha ke nahin? . MM: Hmm. CS: Aur bilkul doonga main. Aaramse doonga. MM: 100 per cent main loonga aapse, kyonki mereko banaani hain film ekdum. CS: Woh bhi doonga aur - bhi. MM: Woh bhi maangta hai mereko. CS: Use bhi hum logo ne kaafi mehenat ki thi. MM: Ji haan. CS: Woh bhi bataaoon main, aise bahut kaam hai yeh to yaar hum logon ne to isko. Khaali bill phaadne sikhaya tha, counter pe. MM: Baraabar hain. CS: Kaam to saari mehenat hum logo ki hoti thi. MM: Baraabar hain. CS: Chalo theek hai phaado bill iske naam pe to saara naam iska aata tha. MM: Baraabar hain. CS: Samjhe na?. MM: Baraabar hai Bhai. CS: Theek hai, chalo itna hone ke baad bhi hum logon ne usko. MM: Baraabar hain. CS: Achcha iska abhi - ka to tension nahin hain na tum logo ko? MM: Nahin nahin nahin. CS: Achcha, woh theek hain ladka, woh bachcha hain ghar ka. MM: Baraabar hain. CS: Usse hum ko kuch matlab hain nahin, samjhe na? MM: Baraabar hain baraabar hain. CS: Aur kuch hoga to bataana mujhe. MM: 100 per cent Bhai. CS: De na usko. MM: Haan haan ek minute.
(Sanjay Dutt resumes conversation)
SD: Ji Bhai. S: Aur kya haal hain. SD: First-class Bhai. CS: Haan to theek hain abhi rahoge ya nikloge? . SD: Main jaoonga kal subah. CS: Achcha subah nikloge. SD: Ji. CS: Achcha, to Bombay kab pahunch rahe ho? Parson? . SD: Kal raat ko, Bhai. CS: Parson shooting hain na? SD: Ji. CS: Hmm hmm hmm. SD: Ji Bhai. CS: To abhi ismein kya kar rahen hain? Main apna wala saath mein kisko le raha hain? SD: Kaun? CS: Yeh. SD: Nahi solo hain na Bhai. CS: Kisko le rahen hain. SD: Mujhe hi le rahen hain. CS: Nahin, nahin, saamne do rakha hain na. SD: Achcha. CS: Aur usme. SD: Pata nehi Bhai. CS: Han, han. SD: (pauses) Do piya hua hoon is waqt. CS: Han, han, han. Achcha chalo aaram se parson baat karoonga. Theek hain? Maje karo. Chalo theek hain. SD: Nahin, nahin, Bhai, aap baat karo. CS: Hmm, Hmm. SD: Ji Bhai. CS: Nahi, nahi, agar usko chase karna hain to maine usko bola bhi tha aage se. SD: Ji. CS: Agar kuch ho to, pooch lena, matlab tumhare ko kaisa karna hain, kaisa nahi hain. SD: Nahi, itna bada c****** hain woh Govinda. CS: Haan, haan. SD: Ata hi nahin, main kaam kar rahan hun uske saath. CS: Haan, haan. SD: Do baje, nau baje a seat pe do baje ye dekhiye. CS: Achcha kispe yeh jodi number do pe? SD: Haan, Bhai. CS: Achcha. SD: Ji. CS: Haan, haan, haan, nahin, nahin, apne isme to barabar aayega woh. SD: (Laughs) . CS: Nahin, nahin, asal mein main kahin phone hi nahi kar raha hun, woh tum logon ko bhi pata hain, barabar hain? SD: Ji, Bhai. CS: Phir abhi yeh nange ki baat dekh lo, yeh khud ka payment tha. Maine aur saamne se kara diya. Main bola nahin, dil nahin tutna chahiye kisika. SD: Ji. CS: Samjhe kya nahin? SD: Ji, Bhai. CS: Haan, yeh Bhai maine bola ki Tumhara bhi maine bola jo figure bolega, likh ke de dena, mana nahi karna. SD: Nahi Bhai, kya baat kar rahen hain? Ghar ki baat hain, kya baat kar rahe hain? . SD: Ji, Bhai. CS: Kahin jaroorat hoti hain na kabhi, to main baat karta hun. Kahin bhi suna hoga, maine na kabhi kisi heroine ko phone kiya hun, na kisiko phone kiya. SD: Ji, Bhai. CS: Who khali nange pehalwan to charbi chadi thi to maine phone kiya tha, bas. SD: Ji, ji. CS: Baki to sara kaam to bechare to usne hi sab pura sambhala hain. SD: Bilkul, bilkul. CS: Samjhe na. SD: Ji. CS: Ab main herionon se kya baat karoon yaar. SD: Bhai, ek cheez boloon apko. CS: Hun, hun. SD: Woh chikna jo hain. CS: Hun, hun. SD: Karisma ko phone karke bolta hain ki t*** m** k* C***. Mere aadmi aake t*** m** c***** l* k* chale jayenge. B********* yeh kya hota hain Bhai. . CS: Haan, haan, haan. SD: Ap sochiye abhi Bhai. CS: Bhai jyada din nahin hain. SD: Ji. CS: Samajme aayaa ki nahin. SD: Ji. CS: Bas ye dua karo lage huye hain. SD: Ji. CS: Jyada din nahi hain, Abhi agar ye aa jata na. SD: Ji. CS: To Yeh samajhna ke tum logon ko khush khabri hi thi. SD: Bilkul Bhai. CS: Samajh mein aaya ki nahi? SD: Ji. CS: Bas good news thi ki agar who tumse milne aa jata na. SD: Ji. CS: To dursre, teesre din, matlab usko trace kar hi lete hum SD: Ji. CS: Samjhe na? SD: Ji, Bhai. CS: Bas Allah malik hain, chhod do. SD: Ji, Bhai. CS: Maine abhi usko yehi bola, Harish ko bola, Zalim ki hawa garam rahti hain. SD: Ji. CS: Lekin kab nikalti hain pata hi nahi chalta. SD: Sahi baat hain. CS: Samjha na? . SD: Ji, Bhai, itni pareshani hain Bhai, kya boloon aap se. CS: Nahi, nahi, mereko pata hain. SD: Ji. CS: Isliye main abhi zara laga hun. SD: Ji. CS: Jawab doonga inshaallah, bahut jaldi jawad de doonga. Aur pura yeh Rizvi wala matter hain. SD: Ji. CS: Chori wala, usme maine pure isme Nange ka siwa maine kisi dusre kisise baat hi nahi ki hain. SD: Ji, ji. CS: Woh bechara pura ka pura jo karne ka tha woh kiya. SD: Who bahut bada g**** hain Bhai woh. CS: Samajhna haan, haan, haan, arre woh abhi nikal hi nahin raha. SD: Hmm. CS: Abhi ek baat boloon, Preity, na mere namse hool diya woh logon ne. SD: Achcha, achcha. CS: Aur yahan ka number chhoda, main doosre din woh number trace karne gaya phir doosre din usne apne naam se baat karke yeh kya phir. SD: Achha achha. CS: Aur yahan ka number chhod diya koi duplicate, maine voh number pe check. kiya, wo number tha hin nahin, number hin bandh aa raha tha woh. SD: Bhai do-teen number main aapko deta hoon. CS: Ha, ha. SD: Aaye hain. CS: Hmm. SD: Bhai kasam khuda ki, maine bola bhai aisa kar hin nahin sakte yaar. CS: Mere naamse. SD: Ji. CS: Kiske paas. SD: Do-teen bhai. Preity thi ek to woh. CS: Nahin, nahin, Priety ko to maine Rizvi to message diya tha. SD: Nahin bhai, haal mein abhi. CS: Abhi. SD: Ji. CS: Arre nahin, nahin, nahin, sawal hin paida nahi hota yaar. SD: Chopra ke paas hai. CS: Yaar maine bakaida interview diya hai paper mein, aur ek TV mein. SD: Ji. CS: Woh Bhansali ka aur Chopra ka. SD: Ji achha. CS: Aur.. SD: Aap Chopra ka aur Harish ka kuch hain hin nahi usme. CS: Achha. SD: Ji. CS: Nahi nahin wo Chopra ko bhi bolna - maine nahi kiya, kisine mere naam pe kiya honga. SD: Ji. CS: Aur mereko wo number chahiye, number do mujhe. SD: Bhai kal parso phone karke apkon de doonga number. CS: Mereko yaadse number de dena, number kaun kaun se hain, samajh mein aaya ki nahi. SD: Ji. CS: Ke mere aadmi hai ke mere namse koi kar rahe hai. SD: Ji. CS: Preity ko bhi yaad se bolna ke maine nahin kiya. SD: Ji. CS: Yaar, mein kabhi yaar aurat jaatse paisa mangaanewala hai nahi. SD: Bilkool nahin, bilkool nahin, wahi mein usko bola woh mere paas aayee thi. CS: Ha. SD: Maine bola, ho hi nahi sakta. CS: Nahin, second stage hai yaar, wo mere saath kaam kar rahi hain. SD: Ji. CS: Maine usko paisa diya ha Diya isliye thodi ke phone karke wapas mangaa loo. SD: Ok. CS: Ok good night.
ALSO READ: Married to the Mob -- Varsha Bhosle's column
Back to top
Tell us what you think of this report