Chaiwalla, pakodawalla, GST in Amit Shah's maiden speech in RS
February 05, 2018  14:52
image
BJP president and Rajya Sabha MP Amit Shah delivers his maiden speech in the Upper House. Shah was supposed to speak in the last session but due to frequent adjournments his turn did not arrive.  Highlights of his speech.

"Sarkaar ne jab kaam-kaaj sambhala, tab sarkaar ke paas virasat me kya tha? Jis prakaar ka gaddha tha, woh gaddha bharne mein hi sarkaar ka bahut saara samay gaya hai aur gaddha bharne ke baad in uplabhdhiyon ko ek alag najariye se dekhein.


"Abhi mai Chidambaram sahab ka tweet padh raha tha ki 'mudra bank ke saath kisi ne pakode ka thela laga diya, isko rozgari kehte hain?' Haan main maanta hu ki bheekh maangne se to accha hai ki koi mazdoori kar raha hai. Uski dusri pidhi aage aayegi to udyogpati banegi.


"Chaiwaale ka beta aaj Pradhan Mantri bankar is sadan me baitha hai. Puri duniya mein jitne bhi loktantra hai, un sab ki yojanaon ko koi khangal kar dekh le, 50 crore logon ko Rs 5 lakh ka bima suraksha dena, kisi bhi sarkaar me ye saahas nahi hai. Isiliye, Ayaushman Bharat ko ab 'Namo healthcare' ke naam se ye janta jaanegi.

"BJP ne kabhi GST ka virodh nahi kiya tha, iske tarikon ka virodh kiya tha. UPA ye kar sudhar leke aayi, Cess ghatane se rajyon ko nuksaan hua, wo UPA ko chukana tha, par nahi chukaya. 37,000 crore NDA ne chukaya." 
« Back to LIVE

TOP STORIES